zakhmon ki munajat mein pinhan wo asar tha aankhon se tapakta hua aansu bhi guhar tha ashkon ki mayyat mein the maghmum andhere sadmat ki har sej mein ek khauf ka ghar tha patte hon ki phal sab ka tha ek aur hi aalam hairat hai magar is pe ki bauna wo shajar tha darwaze makanon ke hue band sar-e-sham kahte hain magar ye ki jiyalon ka nagar tha kaisi wo hawas thi ki bani mojib-e-tazir jannat se nikalwa diya kaisa wo samar tha