main hun tere liye benam-o-nishan aawara zindagi mere liye tu hai kahan aawara tujh se kat kar koi dekhe to kahan pahuncha hun jaise naddi mein koi sang-e-rawan aawara tujh ko dekha hai kahin tujh ko kahan dekha hai wahm hai sar-ba-gareban o guman aawara dair-o-kaba ki riwayat se inkar nahin aao do din to phiren nara-zanan aawara tere daman ki tarah daman-e-shab rakhshanda mere ashkon ki tarah kaun-o-makan aawara jalte-bujhte hain har ek gam pe tabinda nujum koi hai aaj sar-e-kahkashan aawara bhigi raaton mein 'zafar' phirta hai tanha tanha aah wo sokhta-dil sokhta-jaan aawara