kahan hawa ke mukhalif hain baadban kaho kahin mile hain mohabbat ko saeban kaho na gul kaho na sitara kaho na jaan kaho main ek lamha hun mujh ko faqat guman kaho jo suraten nazar aati hain khwab-e-hasti mein wo asl mein kabhi hoti hain mehrban kaho main munfarid to nahin hun magar tumhaara gham palak tak aane na dun mujh ko raazdan kaho wo ek shakhs ki jo hasil-e-mohabbat hai usi ko waqt-e-sukhan hasil-e-bayan kaho jo lauh-e-dil pe hain mahfuz chand tahriren unhi huruf mein ulfat ki dastan kaho hazar tarah to hum log aazmae gae ab aur kaun sa rahta hai imtihan kaho sawad-e-sham mein shair-mizaj log agar fasurda-dil nazar aaen to shadman kaho 'nasim' subh-e-tarab jab chaman mein tum aao gulon ki taza mahak ko khuda ki shan kaho