jaane kya qimat-e-arbab-e-wafa thahregi main agar arz karunga to khata thahregi nok-e-nashtar se khilai gain kaliyan kitni jaane is shahr ki kya aab-o-hawa thahregi raqs-e-parwana ki gardish jo thame aakhir-e-shab ahl-e-mahfil ke liye ye bhi ada thahregi aaj ke daur mein virane bhi tamir hue kal ki tahzib khuda jaaniye kya thahregi muddaton baad kisi band dariche ke qarib kya khabar thi meri raftar zara thahregi teri aawaz mere waste sahra ka sukut meri khamoshi rah-o-rasm-e-dua thahregi log rahte hain yahan khali makanon ki tarah kis ke darwaza pe dastak ki sada thahregi 'shaz' idhar khwab ke dariya pe milega koi ek parchhain sar-e-ab suna thahregi