kisi taraf na girah ka sira dikhai de na koi nakhun-e-uqda-kusha dikhai de yahi tilism to aiwan-e-eqtidar mein hai ki khud ko banda-e-ajiz khuda dikhai de tamam-shahr ne chehre badal liye shayad taras gae hain koi aashna dikhai de masham-e-jaan teri khushbu se is qadar manus mahak badan ki ba-dosh-e-saba dikhai de zamin ka chand mera kaenat mein yakta agar hai us sa koi dusra dikhai de