na us ka bhed yari se na ayyari se hath aaya khuda aagah hai dil ki khabardari se hath aaya na hon jin ke thikane hosh wo manzil ko kya pahunche ki rasta hath aaya jis ki hushyari se hath aaya hua haq mein hamare kyun sitamgar aasman itna koi puchhe ki zalim kya sitamgari se hath aaya agarche mal-e-duniya hath bhi aaya harison ke to dekha hum ne kis kis zillat-o-khwari se hath aaya na kar zalim dil-azari jo ye dil manzur hai lena kisi ka dil jo hath aaya to dildari se hath aaya agarche khaksari kimiya ka sahl nuskha hai wa-lekin hath aaya jis ke dushwari se hath aaya hui hargiz na tere chashm ke bimar ko sehhat na jab tak zahr tere khatt-e-zangari se hath aaya koi ye wahshi-e-ram-dida tere hath aaya tha par ai sayyaad-wash dil ki giraftari se hath aaya 'zafar' jo do jahan mein gauhar-e-maqsud tha apna janab-e-fakhr-e-din ki wo madad-gari se hath aaya