jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya ghar mein diwaren uthana ab to fashion ho gaya ek muflis ko sadak par galiyan dene ke baad wo samajhta hai hamara nam raushan ho gaya aaj to aae hamein kis ki qayaadat par yaqin kal jo apna rahnuma tha aaj rahzan ho gaya dekh kar bachchon ko bhi ab yaad aata hi nahin mahw kuchh aisa hamare dil se bachpan ho gaya chhate chhate chha gai fasl-e-bahaaran par khizan dekhte hi dekhte pamal gulshan ho gaya main ne to haq baat hi munh se nikali thi 'wasim' jaane kyun sara zamana mera dushman ho gaya