jaane wale tujhe kab dekh sakun bar-e-digar raushni aankh ki bah jaegi aansu ban kar tu hissar-e-dar-o-diwar liye jae kidhar mera kya hai ki main hun dasht-ba-dil khana ba-sar kaun jaane meri tanhai-pasandi kya hai bas tere zikr ka andesha tere nam ka dar yun bhi ashkon ka dhundalka tha sujhai na diya kis ne luta dam-e-rukhsat sar-o-saman-e-safar kis ne dekha hai mera shahr-e-khamoshan-e-hayat dil ki wadi se guzarna hai to aahista guzar ro raha hun ki tere sath hansa tha barson hans raha hun ki koi dekh na le dida-e-tar ye meri zakhm-e-nasibi ye teri hairani main ne tere hi ishaara pe to dali thi sipar tut jaega nasha dekh koi nam na le aankh bhar aaegi is tarah mera jam na bhar koi gum-gashta har aaghaz-e-safar se pahle chum leta hai teri yaad ka bhaari patthar main ne har raat yahi soch ke aansu ponchhe munh dikhana bhi hai duniya ko ba-hangam-e-sahar 'shaz' ko sabr ata kar ke bada kaam kiya us ne kya manga tha kya paya hai ai rabb-e-hunar