nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua jawab-e-saf to lata agar na lata khat likha nasib ka jo nama-bar se kuchh na hua hamesha fitne hi barpa kiye mere sar par hua ye aur to us fitna-gar se kuchh na hua bala se girya-e-shab tu hi kuchh asar karta agarche ishq mein aah-e-sahar se kuchh na hua jala jala ke kiya shama san tamam mujhe bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua rahin adu se wahi garm-joshiyan us ki is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua uthaya ishq mein kya kya na dard-e-sar main ne husul par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua shab-e-visal mein bhi meri jaan ko aaram azizo dard-e-judai ke dar se kuchh na hua na dunga dil use main ye hamesha kahta tha wo aaj le hi gaya aur 'zafar' se kuchh na hua