koi bhi khud ko badalta nazar nahin aata azab aaega talta nazar nahin aata zamin ko rok liya hai kashish ne suraj ki ye din to raat mein dhalta nazar nahin aata lage hai yun ki uge hain darakht patthar ke koi bhi phulta phalta nazar nahin aata dhuan bhara hai makan mein sulagte hain dar-o-baam makin to aankh bhi malta nazar nahin aata bapa hai jashn masiha-nafas ki aamad par mariz hai ki sambhalta nazar nahin aata ubhaarte hain hudi-khwan pukarti hai jaras magar ye qafila chalta nazar nahin aata gire hai barq sar-e-tur-o-dasht-e-sina par koi shajar kahin jalta nazar nahin aata