raat charagh ki mahfil mein shamil ek zamana tha lekin sath mein jalne wali raat thi ya parwana tha khizar nahin rahzan hi hoga rah mein jis ne lut liya lekin yaro shak hota hai kuchh jaana pahchana tha shab-bhar jis rudad-o-alam par ashk bahate guzri thi subh hui to hum ne jaana apna hi afsana tha kaun hamare dard ko samjha kis ne gham mein sath diya kahne ko to sath hamare tum kya ek zamana tha log use jo chahen kah len apna to ye haal raha sirf unhin se zakhm mile hain jin se kuchh yarana tha maslahaton ki is basti mein lab khulte ye tab na thi waz-e-junun ki baat na puchho wo bhi ek bahana tha talkhi-e-gham pahunche the bhulane sud-o-ziyan mein uljhe hain baada-faroshon ki mandi thi nam magar mai-khana tha jin ki khatir hum ne apna zauq-e-talab badnam kiya aaj wahi kahte hain hans kar shair tha diwana tha