jaanta hun ki sukun qismat-e-insan mein nahin main tumhein apna bana lun mere imkan mein nahin fikr-e-gulchin gham-e-sayyaad aur andesha-e-barq jo sukun mujh ko qafas mein hai gulistan mein nahin main wo barbaad-e-azal hun ki nasheman to kya meri taqdir ke tinke bhi gulistan mein nahin kyon khatakti hai zamane ko kisi ki laghzish dagh lale mein nahin ya mah-e-taban mein nahin jis ki tamir mein ehsas-e-shikast-e-gul ho meri wahshat ka ilaj aise gulistan mein nahin sajde karta hun ba-andaz-e-junun ro rau kar hasb-e-mamul ibaadat mere iman mein nahin kaj-rawi maslahat-e-husn hai warna 'bismil' un mein jo baat hai wo baat har insan mein nahin