jo khush-nasib tere ishq mein kharab hue ba-e-e'tibar-e-haqiqat wo kaamyab hue gham-e-dawam ke asrar be-naqab hue ye chand jure kahan tak asar-ma-ab hue meri nigah mein wo jalwe sehr-kar nahin jo jalwe aam nigahon mein be-naqab hue chala main un ka tasawwur kiye hue jis waqt jo zarre rah mein aae wo aaftab hue teri qarabat unhen bhi kahan mayassar hai tere jamal-kade mein jo baryab hue karishma-sazi-e-jazbaat-e-ishq are tauba haqir zarre tere husn ka jawab hue idhar banaya hai qasr-e-tasawwuraat-e-jamil udhar hum un ke liye khanuman-kharab hue ye hadsat-e-mohabbat are khuda ki panah tumhaari bazm mein 'bismil' bhi baryab hue