jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi apni manzil ki taraf panw badhao to sahi zindagi wo jo harif-e-gham-e-ayyam rahe dil shikasta hai to kya saz uthao to sahi jag utthegi ye soi hui duniya lekin pahle khwabida tamanna ko jagao to sahi phul hi phul hain kahte ho jinhen tum kante meri duniya-e-junun mein kabhi aao to sahi tumhein aabaad nazar aaegi ujdi duniya dil ki duniya ko mohabbat se basao to sahi zindagi phir se jawan phir se hasin ho jae un ki aankhon se zara aankh milao to sahi karte phirte ho andhere ki shikayat 'darshan' dil ki duniya mein koi dip jalao to sahi