kufr se kuchh kaam hai hum ko na iman se gharaz hai to bas apni khayalat-e-pareshan se gharaz josh-e-wahshat mein nahin sair-e-gulistan se gharaz hai mere dast-e-junun ko jeb-o-daman se gharaz qaid se takhsis ki aazad hai sauda-e-ishq hum ko matlab hai bayaban se na zindan se gharaz mashghala achchha hujum-e-gham mein hath aaya mere kaam hai lab ko fughan se dil ko hirman se gharaz ai hawa-e-jazb-e-dil imdad karna chahiye misr walon ko nahin hai pir-e-kanan se gharaz aish-o-ishrat se jinhen dam-bhar ko bhi fursat nahin khak ho un ko mere haal-e-pareshan se gharaz munhasir jab maut par kambakht ki hai zindagi ho mariz-e-gham ko teri khak-e-darman se gharaz aashiqon ka mazhab-o-millat juda iman juda sab se begane hain kya gabr-o-musalman se gharaz kaam sehat se na hai kuchh chaaragar ki ehtiyaj lazzat-e-zakhm-e-jigar ko hai namak-dan se gharaz bahr-e-alam mein pahunchna ta-ba-sahil hai zarur kashti-e-umr-e-rawan ko kab hai tufan se gharaz kucha-e-jaanan mayassar hum ko ho 'masud' agar chhod kar us ko na rakkhen bagh-e-rizwan se gharaz