mahakte phul jo har-su nazar mein rakhta hai wo shakhs apni udasi ko ghar mein rakhta hai isi liye to bulandi hai us ke zer-e-qadam hunar udan ke wo baal-o-par mein rakhta hai hamein to pyar se dam bhar ki bhi nahin fursat tera jigar hai jo nafrat jigar mein rakhta hai har ek rahguzar us ki kyon na ho raushan tera khayal jo apne safar mein rakhta hai isi liye hi mujhe khubiyan huin hasil wo meri khamiyan apni nazar mein rakhta hai badal hi dega muqaddar ki sab lakiron ko wo e'timad jo dast-e-hunar mein rakhta hai 'zahin' faisle us par hi chhod de sare tu baat baat ko kyon khair-o-shar mein rakhta hai