jab kabhi zahir hue suraj ke zardile nuqush khud pighalne lag gae chehron ke barfile nuqush sun rahe the har taraf apni sada ki bazgasht har taraf bikhre hue the zehn ke dhile nuqush saaton ka qafila sakit khada tha jism mein chalte phirte the magar sanson ke pathrile nuqush jab purane chand rishton ko kiya tha ustuwar zehn mein yak-lakht ubhre sare chamkile nuqush wahshaton ki raushnai bah gai kaghaz pe jab dahr mein har samt the jangal ke zahrile nuqush hum ne boya tha badan ke khet mein tukhm-e-hawas katte hain rahaton ki fasl zardile nuqush kitni aasani faraham ki thi 'jami' waqt ne mil rahe the raste mein nile aur pile nuqush