jab apna muqaddar thahre hain zakhmon ke gulistan aur sahi kuchh surkhi-e-khanjar aur siwa rangini-e-daman aur sahi dildari-e-dast-e-qatil ko baqi hain hamin to aao chalo is kucha-e-jaanan mein yaro ek jashn-e-charaghan aur sahi katte hain katen bazu-o-gulu bahta hai bahe gulnar-e-lahu ek marka-e-dil aur sahi ek marka-e-jaan aur sahi katte hi kategi hijr ki shab liye dard chalo ta-subh-e-tarab in shauq ki mari aankhon se kuchh wada-o-paiman aur sahi bichhne do bisat-e-zist agar jite to sar-afraazi warna sab haare hue to baithe ho ye naqd-e-dil-o-jaan aur sahi