jala hun dhup mein ek shahr-e-rang-o-bu ke liye mili hai tishna-labi sair-e-ab-e-ju ke liye tere badan ki mahak ajnabi sahi lekin mere qarib se guzri hai guftugu ke liye junun ka pas wafa ka khayal husn ka gham kai charagh jale ek aarzu ke liye na aansuon ke sitare na qahqahon ke gulab koi to jashn karo apne mah-ru ke liye nae sawal nae tajarbe nae chehre hazar mod hain ek meri justuju ke liye