kaliyon mein tazgi hai na khushbu gulab mein pahli si raushni kahan jam-e-sharab mein puchho na mujh se ishq-o-mohabbat ke silsile lazzat si mil rahi hai mujhe har azab mein ye raaz jaanti na thi taron ki raushni kitna hasin chand chhupa tha naqab mein do kanpte larazte labon ki nawazishen lahra ke dhal gain mere jam-e-sharab mein hum hain gunahgar magar is qadar nahin jitne gunah aae hain apne hisab mein likkhi gai jo mere hi khwabon ke khun se rahi mera hi nam nahin us kitab mein