kisi ke ishq mein ye haal-e-zar rahta hai sukun pa ke bhi dil be-qarar rahta hai wo mai-kade mein bahut ba-waqar rahta hai jo be-khudi mein bhi kuchh hoshyar rahta hai mujhe bahaar-e-gulistan pe naz ho kyunkar meri nazar mein maal-e-bahaar rahta hai dil-e-hazin gham-e-dauran se aashna na sahi tumhaare gham se magar ham-kanar rahta hai koi to baat hai aisi ki un ke wadon par khulus-e-dil se mujhe e'tibar rahta hai ba-faiz-e-josh-e-junun ab main us maqam pe hun jahan junun hi mera raaz-dar rahta hai ye jaanta hun na aae hain wo na aaenge 'nasim' phir bhi mujhe intizar rahta hai