jab bhi ghar ki chhat par jaen naz dikhane aa jate hain kaise kaise log hamare ji ko jalane aa jate hain din bhar jo suraj ke dar se galiyon mein chhup rahte hain sham aate hi aankhon mein wo rang purane aa jate hain jin logon ne un ki talab mein sahraon ki dhul udai ab ye hasin un ki qabron par phul chadhane aa jate hain kaun sa wo jadu hai jis se gham ki andheri sard gupha mein lakh nisai sans dilon ke rog mitane aa jate hain ze ke reshmi rumalon ko kis kis ki nazron se chhupaen kaise hain wo log jinhen ye raaz chhupane aa jate hain hum bhi 'munir' ab duniya-dari kar ke waqt guzarenge hote hote jine ke bhi lakh bahane aa jate hain