ye kah gae hain musafir lute gharon wale daren hawa se parinde khule paron wale ye mere dil ki hawas dasht-e-be-karan jaisi wo teri aankh ke tewar samundaron wale hawa ke hath mein kase hain zard patton ke kahan gae wo sakhi sabz chadaron wale kahan milenge wo agle dinon ke shahzade pahan ke tan pe libaade gadagaron wale pahadiyon mein ghire ye bujhe bujhe raste kabhi idhar se guzarte the lashkaron wale unhi pe ho kabhi nazil azab aag ajal wahi nagar kabhi thahren payambaron wale tere supurd karun aaine muqaddar ke idhar to aa mere khush-rang pattharon wale kisi ko dekh ke chup chup se kyun hue 'mohsin' kahan gae wo irade sukhan-waron wale