ye naqsh aisa nahin hai jise mitaun main mujhe bata ki tujhe kaise bhul jaun main koi lakir hi raushan nahin hatheli par najumiyon ko bhala hath kya dikhaun main bujha bujha sa nazar aa raha hai har koi fasana-e-gham-e-hasti kise sunaun main yaqin karo ki meri jit phir yaqini hai magar kaho to ye bazi bhi haar jaun main nazar ke samne manzil ke raste hain bahut ye sochta hun qadam kis taraf badhaun main ye baat sach hai ki buniyaad hun imarat ki ye aur baat kisi ko nazar na aaun main gham-e-zamana se fursat kahan 'asar-sahab' dua ko hath jo apne liye uthaun main