taswir mein rang bhar rahe hain milne ka irada kar rahe hain khushiyan hi nahin thin sath mere gham bhi mere ham-safar rahe hain aankhen to khuli hui thin phir bhi har baat se be-khabar rahe hain koi rahat mili na ahl-e-fan ko aaram se be-hunar rahe hain baqi nahin dil mein shauq-e-parwaz muddat se be-baal-o-par rahe hain urdu si zaban pe kuchh mukhalif har samt se war kar rahe hain ek umr se ahl-e-dil ke dere talwar ki dhaar par rahe hain mushtaq to ja chuke hain 'kausar' ab kis liye ban-sanwar rahe hain