jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai raat hoti hai magar din ka yaqin hota hai uf wo bedad inayat bhi tasadduq jis par hae wo gham jo masarrat se hasin hota hai hijr ki raat fusun-kari-e-zulmat mat puchh shama jalti hai magar nur nahin hota hai dur tak hum ne jo dekha to ye malum hua ki wo insan ki rag-e-jaan se qarin hota hai ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye chot lagti hai kahin dard kahin hota hai hum ne dekhe hain wo aalam bhi mohabbat mein 'hafiz' aastan khud jahan mushtaq-e-jabin hota hai