jab bhi ye baat chali hai ki KHuda hai koi

jab bhi ye baat chali hai ki khuda hai koi
meri taswir mujhe saunp gaya hai koi

soch phir soch ye mear-e-wafa hai koi
kaam aa jae to samjhen ki khuda hai koi

meri qismat mere mathe hi pe likh di hoti
khul to jata ki gunahgar-e-wafa hai koi

aaj se ishq ki tarikh badal jaegi
aaina lao mujhe dekh raha hai koi

log betab hain taid-e-sadaqat ke liye
ek aawaz to aae ki khuda hai koi

faslon mein kisi tafriq ka ehsas na tha
ek hote hi ye samjhe ki juda hai koi

aur kuchh tazkira-e-soz-e-tamanna 'anjum'
sab ko malum to ho tujh se mila hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close