jab tak mausam bit na jae chehron par kya surkhi aae dil ab un ke naz uthae pyar kiya hai chot bhi khae ishq mein ye lamhat bhi aae simti dhup na phaile sae lut jahan tak luta jae shayad phir ye daur na aae aag bhi barse abr bhi chhae mausam kya jo tanha aae un ko dar dar dhundne wala ho sakta hai khud kho jae dil par ab kya qahr nahin hai kis ki aankh mein aansu aae apni chhanw mein chalne wala pahle har diwar girae saya to hai dhup ka tukda chhanw kahan jo thahra jae ab tak manzil ek tasawwur aage jo kuchh waqt batae 'anjum' koi to apna hoga socha lekin soch na pae