phir mere dil ka sukun aap ne barbaad kiya aap se kis ne kaha tha jo mujhe yaad kiya pa-ba-zanjir jo tu ne mujhe sayyaad kiya mujh ko har ranj se har fikr se aazad kiya jaan bhi jae to main uf na karunga hargiz is bharose ne use mail-e-bedad kiya chaliye main hi sahi paiman-shikani ka mujrim bewafa main hun baja aap ne irshad kiya ek nigah-e-ghalat-andaz se dekha to mujhe ek lamhe ko sahi dil to mera shad kiya bhulne wale tujhe meri mohabbat ki qasam ab jo bhule se kabhi tu ne mujhe yaad kiya kis pe ilzam dharen dil ki tabahi ka 'shamim' sach to ye hai ki hamin ne use barbaad kiya