teri chashm-e-sitam-ijad se dar lagta hai ye ghalat hai kisi uftad se dar lagta hai is liye chup hun ki aadab-e-qafas par hai nazar kaun kahta hai ki sayyaad se dar lagta hai hum to lazzat-kash-e-azar hain ai josh-e-wafa aur hain wo jinhen bedad se dar lagta hai tere jalwon ko kahin aam na kar den ai dost is liye mani-o-bahzad se dar lagta hai kash wo waqt na aae meri duniya mein kabhi jab mohabbat ki har uftad se dar lagta hai kahin aisa na ho zindan bhi bayaban ho jae ishq ki fitrat-e-azad se dar lagta hai pahle dar tha ki kahin bhul na jaun tujh ko ab ye aalam hai teri yaad se dar lagta hai na wo aadab-e-wafa hain na wo aadab-e-junun ai 'mushir' ab dil-e-nashad se dar lagta hai