jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai bashar mein abhi aadamiyat nahin hai takalluf agar hai haqiqat nahin hai tasanno zaban-e-mohabbat nahin hai zaruri ho jis ke liye ek dozakh wo mere tasawwur ki jannat nahin hai mere dil mein ek to hai tujh se hasin-tar mujhe ab teri kuchh zarurat nahin hai mohabbat yaqinan khilaf-e-khirzad hai magar aql hi ek haqiqat nahin hai use ek betabi-e-shauq samjho taghaful ka shikwa shikayat nahin hai mujhe kar ke chup koi kahta hai hans kar unhen baat karne ki aadat nahin hai kabhi ho sakega na 'mulla' ka iman jis iman mein dil ki nubuwwat nahin hai