jab ek charagh-e-rahguzar ki kiran pade honton ki lau latif hijabon se chhan pade shakh-e-abad se jhadte zamanon ka rup hai ye log jin ke rukh pe guman-e-chaman pade ye kis hasin dayar ki thandi hawa chali har mauja-e-khayal pe sad-ha shikan pade ye kaun hai labon mein rasili ruten ghulin palkon ki ot nind mein gul-gun gagan pade ek pal bhi ku-e-dil mein na thahrao rah-naward ab jis ke naqsh-e-pa mein chaman-dar-chaman pade ek jast is taraf bhi ghazal-e-zamana-raqs rah teri dekhte hain khata o khutan pade jab anjuman tawajjoh-e-sad-guftugu mein ho meri taraf bhi ek nigah-e-kam-sukhan pade sahra-e-zindagi mein jidhar bhi qadam uthe raste mein ek aarzuon ka chaman pade is jalti dhup mein ye ghane saya-dar ped main apni zindagi unhen de dun jo ban pade ai shatir-e-azal tere hathon ko chum lun qarye mein mere nam jo diwana-pan pade ai subh-e-der-khez unhen aawaz de jo hai ek sham-e-zud-khwab ke sukh mein magan pade 'amjad' tariq-mai mein hai ye ehtiyat shart ek dagh bhi kahin na sar-e-pairahan pade