jahan chaho mera nam likho, jo chaho tum ilzam likho mujhe ishq ne barson qaid rakha mujhe, hijr ki gahri sham likho mere josh-e-junun ka ye tanha safar, ai chaaragaro tumhein kya hai khabar mere pas hai jo bhi ye dard-e-hunar, use tum mere hi nam likho mere lab pe abhi wo sawal hai kyun? mere dil mein abhi wo malal hai kyun? mere chaaron-jaanib jal hai kyun? mere khwab ka ab anjam likho ye ishq-e-musalsal sawan hai, man aag, to jism ek indhan hai bas maut hai kab, ye jiwan hai? use zahar-bhara ek jam likho kabhi dasht mein khar pe hai chalna, kabhi aag ka phul mein hai dhalna kabhi tanha dhup mein hai chalna, use ishq ka hi inam likho har khwahish hai sar-e-nok-e-sinan, har chahat hai bas nauha-kunan malum nahin khud mein hun kahan, ab chand nahin sar-e-baam likho ye hijr jo ek tulani hai mere pas jo ek nishani hai 'shahin' ye meri jo kahani hai, use khushiyon mein kohram likho