misal-e-mauj-e-nasim-e-bahaar guzri hai wo zindagi jo sar-e-ku-e-yar guzri hai wo ek nigah jo paigham-e-sad-nashat bhi hai na jaane kyon wo mere dil pe bar guzri hai wo tishnagi jo sar-e-mai-kada nikharna thi wo tishnagi bhi yunhi be-bahaar guzri hai abhi abhi to na aa ai khayal-e-amad-e-yar abhi abhi to shab-e-intizar guzri hai hamein to un ki nigahon ka eatibar nahin jo kah rahe hain idhar se bahaar guzri hai tamam umr kiya un ka intizar 'akhtar' tamam umr badi be-qarar guzri hai