jab gulistan na raha apna gulistan ki tarah

jab gulistan na raha apna gulistan ki tarah
aashiyan kyon na lage phir hamein zindan ki tarah

wo nazar pher ke ab mujh se guzar jate hain
jo samajhte the kabhi mujh ko rag-e-jaan ki tarah

jitna suljhaya ise aur ulajhti hi gai
zindagi bhi hai meri gesu-e-pechan ki tarah

koi bilqis mere ghar mein bhi mehman hoti
meri taqdir bhi hoti jo sulaiman ki tarah

dost samjhun main kise aur kise dushman jaanun
yun to sab milte hain mujh se gul-e-khandan ki tarah

mujh ko har mod pe mushkil se bacha leti hai
hai meri man ki dua mere nigahban ki tarah

hain ba-zahir to sabhi aadmi lekin ai 'faraaz'
koi milta nahin is daur mein insan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close