tha zindagi se pyar to bimar kyon hue

tha zindagi se pyar to bimar kyon hue
yani asir-e-gesu-e-dil-dar kyon hue

viraniyon ka aur bhi ehsas badh gaya
nazron ke samne gul-o-gulzar kyon hue

kholen ye raaz ab teri zulfon ke pech-o-kham
hum kawish-e-junun mein giraftar kyon hue

bebaki-e-nigah ke mujrim hain hum magar
jalwe harif-e-lazzat-e-didar kyon hue

minnat-pazir shana-e-tadbir ke jo hain
taqdir ke wo gesu-e-khamdar kyon hue

mauj-e-hawa-e-shauq ne hum ko kiya kharab
jine se kya bataen ki bezar kyon hue

ehsas-e-talkhi-e-gham-o-alam al-aman
diwana kyon na hum hue hushiyar kyon hue

kuchh aur badh gai hai giran-bari-e-hayat
sharminda-e-nawazish-e-aghyar kyon hue

padash-e-jurm mein jise dena pada hai dil
us ki nazar ke aap gunahgar kyon hue

har har nafas hai ab to saza-e-dil-o-nazar
itna mere qarib ye afkar kyon hue

apne ko dekh aur phir apni nazar ko dekh
hum se na puchh be-khud-o-sarshaar kyon hue

'nasir' wo zindagi wo ladakpan ki zindagi
hum us hasin khwab se bedar kyon hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close