kitna bekar tamanna ka safar hota hai kal ki ummid pe har aaj basar hota hai yun main sahma hua ghabraya hua rahta hun jaise har waqt kisi baat ka dar hota hai din guzarta hai to lagta hai bada kaam hua raat katti hai to ek marka sar hota hai log kahte hain muqaddar ka nawishta jis ko hum nahin mante har chand magar hota hai 'saif' is daur mein itna bhi ghanimat samjho qaid mein rauzan-e-diwar bhi dar hota hai