jaise kaha ye kuze ne girdab ko lapet dil jhat se bol uttha ki sanjab ko lapet tu aab-e-zindagi ki haqiqat samajh ke tair ek aaftab tham ke talab ko lapet mujh se lipat gaya tha koi misl-e-hadsat dil bola apne jism pe aadab ko lapet tu baat man qaht mein kashti bana ai dost phir apni chappu-rani se sailab ko lapet chhupta nahin hai raat ki chadar se chand bhi ai yar aastin mein mahtab ko lapet 'patras' ke daur se hi to lahauriyon ne 'aun' lahore ko kaha hai ki punjab ko lapet aakhir kisi ka hukm to hai ashk ashk ko bahne se pahle pahle kisi khwab ko lapet