jab har ek shahr balaon ka thikana ban jae kya khabar kaun kahan kis ka nishana ban jae ishq khud apne raqibon ko baham karta hai hum jise pyar karen jaan-e-zamana ban jae itni shiddat se na mil tu ki judai chahen yahi qurbat teri duri ka bahana ban jae jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal kya khabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae karta rahta hun faraham main zar-e-zakhm ki yun shayad aainda zamanon ka khazana ban jae is se badh kar koi inam-e-hunar kya hai 'faraaz' apne hi ahd mein ek shakhs fasana ban jae