jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge to bole aap jis din hashr mein madfan se niklenge jalega dil tumhein bazm-e-adu mein dekh kar mera dhuan ban ban ke arman mahfil-e-dushman se niklenge ikatthe kar ke teri dusri taswir khinchunga wo sab jalwe jo chhan chhan kar teri chilman se niklenge siyah poshak dosh-e-naz par bikhri hui zulfen mere matam ki shirkat ko bade joban se niklenge hamein parwa nahin is ki qayamat lakh bar aae na tum madfan pe aaoge na hum madfan se niklenge tere daman se badla lenge zalim khun-e-nahaq ka wo fawware lahu ke jo meri gardan se niklenge yahi rishta junun-e-ashiqi ka hai to kuchh din mein mere tar-e-gareban yar ke daman se niklenge hazaron husn wale is zamin mein dafn hain 'muztar' qayamat hogi jab ye sab ke sab madfan se niklenge