zindagi khinch gai mujh se tere abru ki tarah apne hi khun ka pyasa hun lab-e-ju ki tarah wo sitara jo mere nam se mansub hua dida-e-shab mein hai ek aakhiri aansu ki tarah shoala-e-soz-e-darun sard hua jata hai koi samjhae saba ko ki chale lu ki tarah koi diwana uthe khak udane ke liye aaj bhi dasht hain phaile hue bazu ki tarah is bhare shahar mein karta hun hawa se baaten panw padta hai zamin par mera aahu ki tarah shabnami hath badhaun ki khule darwaza bin khile phul ke zindan mein hun khushbu ki tarah chahte hain jo 'muzaffar' gham-e-hasti se farar baith jaen wo gadha khod ke sadhu ki tarah