jitne log nazar aate hain sab ke sab begane hain aur wahi hain dur nazar se jo jaane-pahchane hain zanjiron ka bojh liye hain be-diwar ke zindan mein phir bhi kuchh aawaz nahin hai kaise ye diwane hain bach bach kar chalte hain har-dam shishe ki diwaron se kaun kahe diwana un ko ye to sab farzane hain khud hi bujha dete hain shamen raushniyon se ghabra kar is mahfil mein ai logo kuchh aise bhi parwane hain sayyaadon ne gul-chinon ne gulshan ko taraj kiya lekin hum diwanon se aabaad abhi virane hain un ka gham hai apna gham hai apne parae sab ka gham shahr-e-wafa mein phir bhi 'farhat' aur kai gham-khane hain