jab ibtida charagh thi jab intiha charagh mahfil ke ikhtitam pe phir kya hua charagh tu hi bata ki anjuman-arai kya hui is anjuman mein tu bhi to jalta raha charagh mere qarib aa ke bhi itna gurez kyun mere nadim tha kabhi main bhi tera charagh phir us ke baad hairat-e-wahm-o-guman thi jab ban gaya wajud mein ek aaina charagh guzri jo mujh pe guzri meri baat aur hai lekin jo tujh pe guzri mujhe wo suna charagh manzar hai raat ka hi tere canwas pe kyun jugnu bana shajar kabhi patte bana charagh chaupal ki kahani ke kirdar kya hue shab khatm ho gai hai so bujhne laga charagh 'ahmad' bas ek raat mein qissa tamam shud main tha fasil-e-sham pe jalta hua charagh