libas-e-gul mein wo khushbu ke dhyan se nikla mera yaqin bhi wahm-o-guman se nikla hamare sath hi ab aandhiyan bhi chalti hain ye tarz-e-ham-safari baadban se nikla kuchh is tarah se bandhe hain zamin ki dor se hum ki khauf-e-gum-rahi unchi udan se nikla naqib mein dhundh raha tha fasil-e-shab mein magar mera ghanim mere hi makan se nikla ab is ke baad koi rasta na koi safar qadam hisar-e-zaman-o-makan se nikla ajib kashmakash-e-jabr-o-ikhtiyar rahi gham-e-hayat isi darmiyan se nikla nadi se pyas mili hai isi gharane ko ki jis ke waste pani chatan se nikla