jab jab bhi hum ne ham-nashin dil ka kaha nahin kiya aisa laga hai zindagi ka haq ada nahin kiya kahne ko yun to aap se shikwe hazar the magar hum ne kabhi khilaf-e-dil koi gila nahin kiya dil ke muamlat the dil mein hi dafn kar liye us bewafa se hum ne phir zikr-e-wafa nahin kiya kuchh to hua zarur hai hum se agar khafa hai wo hum ne to jaan-bujh kar us ko khafa nahin kiya kar-e-jahan mein khub-tar guzri hai apni zindagi lekin ye dil pe bojh hai kar-e-khuda nahin kiya tanhaiyon mein khud se hi hum mahw-e-guftugu rahe us ke siwa kisi se phir ahd-e-wafa nahin kiya aisa bhi daur-e-zist tha shah-rag se wo qarib tha ab hai wo be-niyaz to hum ne pata nahin kiya aaenge laut kar wo hi dil ko yaqin tha is liye hum ne kisi ke waste darwaza wa nahin kiya