masrur bhi hun khush bhi hun lekin khushi nahin tere baghair zist to hai zindagi nahin main dard-e-ashiqi ko samajhta hun jaan-o-ruh kambakht wo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin la gham hi dal de mere dast-e-sawal mein main kya karun khushi ko jo teri khushi nahin kuchh der aur rahne de khuddari-e-junun daman to chaak hona hai lekin abhi nahin saqi nigah-e-naz se lillah kaam le sau jam pi chuka hun magar be-khudi nahin rakhna padegi tum ko tahi-damani ki laj mujh ko kami zarur hai tum ko kami nahin 'bahzad' saf saf main kahta hun haal-e-dil sharminda-e-kamal meri shairi nahin