main gila kar raha hun qismat ka

main gila kar raha hun qismat ka
kaun mauqa hai ye shikayat ka

tha asar dil mein kuchh mohabbat ka
puchhte the nishan turbat ka

'badr' warafta ho ke hazrat ka
kis se hai iddaa raqabat ka

dar na tha dil mein kuchh qayamat ka
tha bharosa teri shafaat ka

jal utha dil mein dagh hasrat ka
bujh gaya jab charagh turbat ka

sun ke waiz ki pi gae mai-kash
muqtaza tha yahi sharafat ka

araq-aluda rukh ka wasf likha
itr khincha gul-e-latafat ka

shab-e-furqat thi raat turbat ki
roz-e-furqat tha din qayamat ka

nahin milta ada-shanason ko
tola masha mizaj hazrat ka

zindagi ka bhi theka lete ho
wada karte to ho qayamat ka

wah re husn teri ranai
rang badla haya-tabiat ka

na to mai hai na jam-o-saqi hai
rang phika hai aaj sohbat ka

shab-e-gesu se bhi daraaz hai ye
tul kya kahiye roz-e-furqat ka

ratti sim-e-qamar ki chamki hai
auj dekho to ahl-e-daulat ka

past se past zina hai kursi
aap ke baam-e-arsh-rifat ka

kis ghazab ki hai sanwli surat
shor aalam mein hai malahat ka

be-haqiqat ye khak ka putla
ek namuna hai teri sanat ka

aaj kya hun azal se parwana
main teri shama-e-bazm-e-qurbat ka

dasht-e-ghurbat mein mere sar par tha
saeban teri nilgun chhat ka

'badr' tum bhi to ho bani hashim
fakhr beja nahin siyaadat ka

'badr'-e-marhum ko khuda bakhshe
aadmi tha badi murawwat ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close