jabr-e-shahi ka sirf baghawat ilaj hai apna azal se ek husaini mizaj hai aage to zahr-e-ishq mein sab zahr the ghule ab shairi ki jaan rag-e-ehtijaj hai aali nazar ke sher pe tikhe mubahise be-nur aalimon ka maraz la-ilaj hai har aan hain dimagh mein afkar-e-shab-nawaz is gham ki saltanat mein bas ek dil siraj hai kya di hai lab-kushai ki qimat use bhi dekh is daftar-e-nawa mein sabhi indiraj hai is sondhi mittiyon ne diya rang o zaiqa hiron se badh ke aab mein mulki anaj hai 'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim' urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai