jaez hai har ek harba is waqt siyasat mein patthar ka bayan le lo shishe ki adalat mein lafzon se juda ho kar ek lafz hua tanha farsuda khayalon ki maqbuza-riyasat mein nikla tha julus apne tarik muqaddar ka mazul tamaddun ki mafluj qayaadat mein ifrit adawat ka har waqt daraata tha hum log muqayyad the wahshat ki imarat mein chehre pe ayan us ke manzar tha palasi ka nikla tha wo azmat ke lashkar ki himayat mein pal-bhar mein jalaya tha isyan ke pahadon ko ye soz-e-nihan kaisa tha ashk-e-nadamat mein ye daur-e-khirad 'jami' jazbon se hua aari har jism pighalta hai sae ki rifaqat mein