jab kaha main ne ki mar mar ke bache hijr mein hum hans ke bole tumhein jina tha to mar kyun na gae hum to allah ke ghar ja ke bahut pachhtae jaan deni thi to kafir tere ghar kyun na gae su-e-dozakh but-e-kafir ko jo jate dekha hum ne jannat se kaha hae udhar kyun na gae pahle us soch mein marte the ki jite kyun hain ab hum is fikr mein jite hain ki mar kyun na gae zahido kya su-e-mashriq nahin allah ka ghar kabe jaana tha to tum log udhar kyun na gae tu ne aankhen to mujhe dekh ke nichi kar lin mere dushman teri nazron se utar kyun na gae sun ke bole wo mera haal-e-judai 'muztar' jab ye haalat thi to phir ji se guzar kyun na gae